Bahot gehrai hain in aankhon me..
Kahase laye ho itnaa dard... 
Jaafa toh humne bhi ki thi...
magar ulfat ke mele ka rasta hi na mila...
***********
Kisi dost ko fazool na samjho. 
KYUN K Jo darakht phal nahi deta
WOH saaya zaroor deta hai.
***********
Samna hote hi yun muskuraya na karo... 
Ke oodh le hum haya k daman.. 
Aur jab aankh jhukti hain.... 
Toh hume tanha chod ke yun jaya na karo.. 
***********
Tanhai ka aalam is kadar chaya.. 
Mohabbat ne humko bekhud kiya.... 
Kabhi chaha tha jis aangan ne.. 
Ussi ke chaw se mehroom kar diya... 
***********
yeh daur-e sitam hai koi 
jeene ka huner seekh jaan dena
mere shehr mein aasan bahut hai
**********
Kash aap ki chahat utni mukammall hoti... 
Toh deewangi ki rumaniyat kuch aur hoti...
**********
Mere pehlu me woh aaye bhi toh khushboo ki tarah.. 
Main usse jitna sametu woh bikharta hi jaye....
**********
Phursat to bahot hain...
Magar baatnese tanhai kattati nahi.. 
Bazar toh bahot hai..
Magar Gamm ki numaish hame raazs aati nahi...
**********
Kismat ki baat na hi karo toh behtarr... 
Har ek sisak par teri parwano ki tarah jala hu mai..


 
 
कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें