हाल में पोस्ट की गई लेख

लेबल

LATEST:


गुरुवार, 26 जुलाई 2012

Kabhi khushi ki aasha, Kabhi gum ki nirasha

दिल को छू लेनेवाली शायरी और दोहे... 



PHIR CHUPKE SE YAAD AA GAYI KOI. 
MERI AANKHO KO PHIR SE RULA GAYI KOI. 
KAISE USKA SHUKRIYA AADA KARE. 
MUJH NAACHIZ KO SHAYAR BANA GAYI KOI....

CHAND HI HOTA SAB KUCH. TO CHANDNI KI CHAHAT KISE HOTI. 
KATT SAKTE AKELE AGAR YAH ZINDAGI. TO HUMSAFAR KI CHAHAT KISE HOTI....


GUZAR GAYE WO CHAMAN SE BAHAR KI TARAH. 
AANKHO ME BAS GAYE HAI INTZAAR KI TARAH. 
KAISE BHULA DE HUM UNHE APNI YADO SE. 
UNHONE INKAAR BHI KIYA IZHAAR KI TARAH

ZAROORI TO NAHI JINE KE LIYE SAHARA HO. 
ZARURI TO NAHI HUM JINKE HAI WAH HAMARE HO. 
KUCH KASHTIYA DOOB BHI JAYA KARTI HAI. 
ZARURI TO NAHI HAR KASHTI KA KINARA HO....


WO TO PANI KI BUND HAI JO AANKHO SE BAHE JAYE.
AANSU TO WO HAI JO TADAP KE AANKHO ME RAHE JAYE. 
WO PYAAR KIYA JO LAFZO ME BAYAN HO. 
PYAAR WO HAI JO AANKHO ME NAZAR AAYE....

ZAKHAM ITNE GAHERE HAI. IZHAAR KIYA KARE. 
HUM KHUD NISSANA BAN GAYE. WAAR KIYA KARE.
MAR GAYE HUM. MAGAR KHULI RAHI AANKHE. 
AB IS SE JIYADA UNKA. INTZAAR KIYA KARE....

PYAAR KAHETE HAI. MOHABBAT KAHETE HAI. 
KUCH LOG USKO BANDGI KAHETE HAI. MAGAR 
JINKE SAATH HUM DOSTI KARTE HAI. 
HUM UNHE APNI ZINDAGI KAHETE HAI....

NA KHUDA DIL BANATA. NA KISI SE PYAAR HOTA. 
NA KISI KI YAAD AATI. NA KISI KA INTZAAR HOTA. 
DIL DIYA HAI USKO SHAMBHAL KAR RAKHNA. 
SEESHE SE BANA HAI DIL PATTHAR SE DOOR RAKHNA....

FRIENDSHIP IS LIKE A GLASS. 
HANDLE IT WITH CARE. 
BECAUSE ONCE BROKEN CANNOT BE MENDED. 
AND EVEN IF MENDED. A CRACK IS ALWAYS THERE....

ZINDAGI KE RAAHO ME TUMHE JO GHAM MILENGE. 
MERE HONSALO SE KAM MILENGE. 
JAB KHUD KO TANHA PAO KABHI. 
KASAM DOSTI KI BAS YAAD KARNA AUR SAMNE HUM MILENGE....

Agar zindagi me judai na hoti, to kabhi kisiki yad aayi na hoti, 
sath hi gujarte sare lamhe, to shayad pyar me itni gehrai na hoti.

Khoobiya Itni To Nahi hum Mein Ki Ghar Bana Payenge 
Par Bhulna Bhi Ashan Na Hoga Hume,
Aise Pal Zarur De Jayenge....

ehsaas nahi tujhe meri mohabbat ka, 
aaj hoga yeh ehsaas tujhe mere jaane ke baad, 
afsos mere a dost ansu ponchne ke liye hum na honge, 
jab roagi tu us ehsaas ke baad..

jindagi to hain jo tere justu mein kat gayi, 
ek tu na mili sari duniya mila bhi to kya,
tera saath na ho to duniya mein chale bhi to kya..

KAL RAAT KHAWB ME UNKA DEEDAR HUVA. 
UTHKAR SUBAH MERE DIL BAHUT BEQRAAR HUVA. 
ROZ USKI YAAD ME AANSU BAHATE HAI YAARO. 
JAB SE JUDA MERA YAAR HUVA....

Aasu ko aankhon ki dehliz par laya na karo, 
Aapne dil ka hal kisiko bataya na karo, 
Log muthi mein namak liye goom rahe hai, 
Apne zakhm kisiko bataya na karo

HAANTH MILA LO TO DOST BAN JATE HO, 
AATMA MILA LO TO EK BAN JATE HO, 
NAJREIN MILA LO TO ISHQ HO JATA HAIN , 
DIL MILA LO TO PYAR BAN JATE HO...

KASH KHUDA NE MUJHE EK KITAB BANAYA HOTA ,
USSE PARNE KE LIYE SIRF AAP KO BANAYA HOTA ,
AAP HUMEIN ROZ PADTE AUR ISI BAHANE HUMARA MILNA BHI ROZ HO JATA........

KAL RAAT KHAWB ME UNKA DEEDAR HUVA. 
UTHKAR SUBAH MERE DIL BAHUT BEQRAAR HUVA. 
ROZ USKI YAAD ME AANSU BAHATE HAI YAARO. 
JAB SE JUDA MERA YAAR HUVA....

hum aaj b unki yaad me wahi khade hai 
jaha unhone humse kaha tum jara thero hum abhi aate hai

TANHAI ME FARIYAAD TO KAR SAKTE HAI.
VIRANE KO AABAD TO KAR SAKTE HAI.
KYA HUVA AAP SE MIL NAHI SAKTE. 
LEKIN AAP KO DIL SE YAAD TO KAR SAKTE HAI....

NA JAANE KYUN IS JAHAN ME AISA HOTA HAI.
KHUSHI JISE MILE WAHI ROTA HAI.
UMAR BHAR KA SAATH NA NIBHA SAKO TO.
JAANE KIYU PYAAR USI SE HOTA HAI....

Mhobaat karte hai par kah nahi sakte, 
Par is haal me hai hum ki 
Unke bin to ji bhi nahi saktey....

ARMAN DILON MEIN HOTA HAI, AAKHON ME NAHI. SAMMAN DIL MAIN HOTA HAI,
PAISON MEIN NAHI.ISHWAR BHAKTI MEIN HOTA HAIN,
PATTARON MEIN NAHI.PYAR AAKHON MEIN HOTA HAIN HOTHON PE NAHI..

HAR EK KI APNI NASIB HOTI HAI, ISHWAR DWARA BANAI SABKI TAQDEER HOTI HAI, JAB V AATA HOON AYINE KE SAMNE MERE CHEHRE KI JAGAH APKI TASWIR HOTI HAIN.

Hum se jis ne pyar kiya use hum ne Thukara diya,
humne jise pyar kiya usne kisi aur ke liye hume thukara diya...

YU TO KOI TANHA NAHI HOTA. CHAHKAR KOI KISI SE JUDA NAHI HOTA.
MOHBBAT KO MAJBOORI LE DUBTI HAI. VARNA KOI KHUSHI SE BEWAFA NAHI HOTA....

Pathar pani pe mat maro, use koi aur bhi peeta hai, 
Zindagi jeeni hai to pyar se jeo, Tumeh dekh ke koi aur bhi jeeta hai.

Dil Diya Hai Dil Dhay Gaye, Mar Kar B Ya Wada Karay Gaye,
Tum Jo Nahin Pass Maray, Yahi Soch Kar Guzara Karay Gaye.

HAR MUSKURAHAT MUSKAN NAHI HOTI. 
NAFRAT HO YA MOHBABAT AASAN NAHI HOTI. 
AANSOO TO GUM AUR KHUSHI KE EK HOTE HAI.
 PAR UNKI PAHECHAN AASAN NAHI HOTI....

Dil ka rishta hai hamara Dil ke kone mein naam hai tumhara
Har yaad mein hai chehra tumhara sms nahi to kya hua 
Zindagi bhar saath rehne ka waada hai hamara

Jane q log hame bhul jate hai, kuch pal sath rehne k bad dur chale jate hai, 
sach hi kahte hai ke sagar milne ke baad log aksar barish ko bhul jate hai....

Zindagi se sabhi ko mohabbat hai, Par zindagi kisi ki mehboob nahi hoti...
Yaha tamanna ko lekar jeete to hain sabhi, Par tamanna kabhi taqdeer nahi hoti..

Na meri koi manjil hai na koi kinara, tanhai meri mehfhil or yadain mera sahara, 
Apse bichad kar kuch yun waqt gujra, kabhi jindgi ko tarse to kabhi moat ko pukara.

Unki nazron se ojhal ho jayenge hum,Door fizaon mein kahi kho jayenge hum...
Meri yaadonn se lipat ke royenge woh,Khaak zameen ki jab jo jayenge hum....

Dekhi nabaz soch kar wo bole, liya kagaz ishq ka bemar likh diya 
kurban Q na ho jaon main aise hakeem per jis ne Nuskhe mein sharbte dedar likh diya

Sahare dhoodne par dil todne wale mil jaate hai. Josh laheron ko aata hai kinare tut jaate hai.
kahan thikana hai jindagi ka nahi pata, Ye to andekhe anjane raste hain! 
hawayen jidhar le jayengi chale jayenge, ham to daal ke toote huye patte hain!!

use maine yaha dhudha waha dhundha, nazar aya nahi kahi,
toh phir dekha maine use apne dil mein toh waha chupa hua tha.

Hamara har lamha chura liya aapne, aankhon ko ik chand dikha diya aapne. 
Hamein zindagi to di kisi aur ne, par pyaar itna dekar jeena sikha diya aapne.

Giraye patthar dilon pe ashma to koi harz nahi, 
chhupa ke dard zindagi ke safar me muskate huye hi chalna hai!
mere is dil ko jalane se koi fark nahi, eak din to sareaam jalna hai !!

bahut kismat wale hote hai jisko sacha pyar milta hai,
warna es duniya mein naseeb wale bahut kum aur sache pyar karne wale toh bahut hi kum

ghunghat me chand sa chehra churayen baithe hain, 
apne aankhon me aanshu chhupaye baithe hain! 
hamne punchha to bahane se tadap kar boli,
boli aankhon me kajal lagaye baithe hain!!

Lehro se milkar na wo beh sake na hum, ek duje k dil me na wo reh sake na hum, 
jeet lete aasma ek din lekin palko ki khamoshi ko honto se na wo keh sake na hum...

Dil ka rishta hai hamara Dil ke kone mein naam hai tumhara 
Har yaad mein hai chehra tumhara sms nahi to kya hua
Zindagi bhar saath rehne ka waada hai hamara. 

Jab Jamane ka itna hi dar hai to diwana kiyon banate ho!
jise jalana ho apne hathon se oh ashiyana kiyon banate ho!!

Na chaho kisiko itna ki Tumhari chaahat tumhari majboori ban jaye 
Par chaho kisiko itna ki Tumhari chaahat uske liye zaroori ban jaye.

DARD HI SAHI MERE ISHQ KA INAAM TO AYA 
KHALI HI SAHI HATHON MEIN JAM TO AAYA 
MEIN HOON BEWAFA SABKO BATAYA USNE 
YUN HI SAHI USKE LABON PE MERA NAAM TO AAYA 

Kabi badli hui takdeer nazar aati hai, Yaadon ki bas ek zanjeer nazar aati hai,
Pade bhi to kya pade yaar Mujhe mobile mein bhi teri tasweer naazar aati hai. 

Tumhara hamara rishta to aankhon aur palkon jaisa hai, 
Agar palak kuch der na jhapke to aankh ro deti hai...
Aur agar aankh mein kuch chala jaye to palak tadap uthti hai... 

Umar ki rah me raste badal jate hai, Waqt ki andhi me insan badal jate hai, Sochte hai tumhe itna yaad na kare lekin ankh band karte hi irade badal jate hai.

ishq wale aakho se aakho ki baat samajh lete hai sapno mai mil jaye to mulaqat samajh lete hai rota to aasmaan bhi hai apni zamin ke liye lekin log use barsaat samajh lete hai .........

kabhi jindgi main kisi se pyar mat karna ho jaye to kabhi inkaar mat karna chal sako to hi chalna is raha par kabhi kisi ki jindgi barbaad mat karna....... 

jeene ki nayi ada di hai, khush rehne ki usne dua di hai,E khuda use sara jahan de de, jisne mujhe apne dil me thodi si jagah di hai.

Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai?

Jabh aankh mein nami si hoti hei, Dil mein kisiki kami si hoti hei, Jabh aankh jukh jaaye toe nami sukh jaaye, Par koi bataaye kaise dil ka dukh jaaye...! 

Sheeshe ke dil mei thi tasveer teri bassi, sheesha toh tod diya, parr tasveer na chura saki.. Mila kya tujhe mere iss dil se khelkar, jaan hi chahiye thi toh maang kar dekhi hoti...

Aapko miss karna roz ki bat ho gai, yaad karna aadat ki bat ho gai, apase dur rahena kismat ki bat ho gai, magar aapko bhulna apane bas ke bahar ki baat ho gai! 

zindagi bhot kuch sikhati hai,thoda hasati hai thoda rulati hai, khud se jyada kisipe bharosa mat karnakyoki aadhere me parchai bhi sath chod ke jati hai... 

AARZOO HAI JIS MUKKAMAL MANZIL KI HAME USE TO EK DIN PA HI LENGE HUM.RISTO KO RETH KI DIWAR KI TARAH BIKHRAKAR PAYA TO KYA PAYA.

Amiro ne aman bech dala, garibo ne chaman bech dala, kuch aise dost mile ki dosti ke liye apna kafan bech dala

Kismat se apni sabko shikayat kyo hai? Jo nahi mil sakta usi se Mohabbat kyo hai? Kitne kaayein hai dokhae in rahon mein, Phir bhi dil ko usi ka intezar kyo hai?

Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha, Hazaron me ek humne tum hi ko dekha, Gum dene wale to har pal hai yahan, Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.

Itefaq ki zindagi hum jiya nahi karte, dhokha hum kisi ko diya nahi karte, na jane yeh dil tum par kaise a gaya , warna yeh dil hum kisi diya nahi karteko

tum ne naa suni dharkan humari, par mehsus ki humne saansein tumhari, itne kareeb ho kar bhi door ho, yeh hai badnaseebi humari..

Khafa hamse hoge kaise, door hamse jaoge kaise? hum ko tum bhulaoge kaise? Hum to wo khushbu hai jo saanso main bas jate hain in sanso ko rook paoge kaise?

Pane se khone ka maza kuch aur hai band ankho me rone ka maza kuh aur hai ansu bane lafz aur lafz bani ghazl aur us ghasal me apke hone ka maza kuch aur hai

Na khwabon me dekha, na nazaron me dekha, Hazaron me ek humne tum hi ko dekha, Gum dene wale to har pal hai yahan, Har pal khushi dene walon me ek aap hi ko dekha.

main tujhe bhul jaaoon namumkin si raat hai,apko nahin yakeen ye aur baat hai,jab tak rahegi sans tab tak rahoge yaad, ya sans hi toot jaye to aur baat hai

hum chah kar bhi unhe apne bana na paye, wo ruthe aur hum unhe apna bana na paye, jakham kitne khaye hai pyar me hum chah kar bhi unhe dikha na paye.

raat ho mera dil bahut der tak roya, unko yaad karta karta puri raat nahi soya, kis tarah bataye ki kya haal hai mera ye to wahi janta hai jisne khushiyo ko khoya paya.

majburi kya thi unhone batayi to hoti, judai ki wajah kabhi sunayi to hoti, apni jaan bhi tohfe me de dete, meri maut ki khawish jatayi to hoti.

mera dil tood kar wo bahut khusi hote hai, hum raat ko rote hai wo aaram se sote hai, unhe kya pata hum kis tarah jeete hai, apne hi muh ko apne hi aansuo se dhote hai.

Na tha wasta kesee shair say Na tha shairown say main ayashana tere dard nay tere yaad nay mughay shair kehna seekha deya.

Luft ishq me itne uthaye ki dil janta hai.. Aur ranj bhi ishq me itne uthaye ki dil hi janta hai..

Ankhon Mein Aise Lakir Ban Gai. Kabhi Na Socha Tha Aise Taqdir Ban Gai. Yunhi Pheri Thi Ret Par Ungliyan Gour Se Dekha To Unki Tasvir Bangai.

Tere ishq me ye Dil deewana ho gaya, Badan se badboo aati hai,Nahaye jamana ho gaya.

Koi khwab in aankho ne sajaya hi nhi, Hmare dil ki gehrai ko koi smajh paya hi nhi. Kisi ko mehsus ho KAMI hmari, Khuda ne hame aisa bnaya hi nhi

khidki khuli julfen udi, socha husn-e-yaar ka didar tha julfen hati kismat futi, wo to nahaya hua sardar tha.

roti hui aankho me intezar hota hai.na chate hue bhi pyar hota hai.
kyo dekhte hai hum wo sapne jinke tutne per bhi such hone ka intezar hota hai.....

Aye Musafir hum bhi chale thae kabhi un raho par, 
sajae the humne bhi ankho ke saaj par kuch sapne.
Lut gaye hum unhi se joh the kabhi mere apne...

tu khi bhe rhe ser pe mera ilzam to hai. tere haatho ke lkiro me mera naam to hai. tu mughe apna bna ya na bna tere khushi. par tu zmane me mere naam se badnaam to hai.

Raat chirago se saja rakhi hai, Shart aaj apne app se laga rakhi hai... aayenge wohh aaj hume pura yakin hai, isilye aaj kayamat se bhi thodi mohlat mang rakhi hai

aapke roothne me bhi hame maza aata hai...kyonki hame aapko manana aacha lagta hai.....jindagi me hum kabhi aapse rooth na payenge..... kyonki aapka har julmon sitam hame pyara lagta hai

Seene mein dil, dil mein dard dard mein nasha nashe mein mithaas, mithaas mein ummeed, ummeed mein yakeen, yakeen mein khyaal, khyaal mein tasweer, tasweer mein sirf tum. I love you.

eshan kiya usne muje pyar shikhaya kar hoti he chahat kya ye muje samja kar quarbani he pyar ka asli matlab chod diya sath mera itna bata kar

aapke husne deedaar ko.... hazaron log taraste hain....humpe thodi si inayat kar deejiye ...hum bhi aapki yaad me rote hain aapka har julmon sitam hame pyara lagta hai

Rokk nahin paate yeh aansoo chalo aaj ji bhar ke behne do mein tha kabki tanha ae dost mujhe tanha hi rehne do unse wafa karke yeh inaam paaya humne wo agar kahe mujhe bewafa toh usse kehne do

Aapki muskan hamari kamjori hai, Keh na pana hamari majburi hai, Aap kyon nahin samajhte is khamoshi ko, Kya khamoshi ko zuban dena jaruri hai?

Jab tum lal sari pe safed bindi lagate ho, ma kasam ambulance nazar ati ho, ambulance to ghayalo ko le jati hai, tum to ghayal karke jati ho.
khidki khuli julfen udi, socha husn-e-yaar ka didar tha julfen hati kismat futi, wo to nahaya hua sardar tha.

cheat and love but dont love and cheat,think and love but dont love and think,break the heart and love butdont love and break the heart
mere dil mai utar sako to shayad jaan lo, kitni khamosh mohabbat tumse karta hai koi!!!

kashti bhi nahi badli, darya bhi nahi badla, aur doobne walo ka jazba bhi nahi badla, hai shoq-e-safar kuch aisa, ek umar se yaaron, manzil bhi nahi payi, rasta bhi nahi badla.

Zanaza mera uth raha tha, phir bhi takleef thi unhe aane me, BEWAFA apne ghar me baithe pooncch rahe the, abhi kitni der hai ise lejane me.

Kabhi khushi ki aasha, Kabhi gum ki nirasha
Kabhi sapno ki chandni... Kabhi haqiqat ki chaya,Kuch kho kar paane ki aasha,Shayad yahi hai zindagi ki paribhasha....

Tum sitaro main jagmagate ho, Chand main roz aate jaate ho; Meri sunte nahi ghadi bhar ko, Mujhko apni sunaye jaate ho; Dil ka afsana bhool jaata hoon, Tumhara chehra jab dekhta hoon; Wo bhi hota hai ek manzar, Jab hum khud ko bhi bhool jaate hain………

ye exams k rishte b ajib hote he ye to apne apne nasib hote he rehte he jo nighao se dur wohi question compulsory hote he

Safar mein dhoop to hogi jo chal sako to chalo, Sabhi hain bheed mein tum bhi nikal sako to chalo, Yehi hai zindagi kuch khwaab chand ummidein, Inhee khilono se tum bhi bahel sako to chalo.

कोई टिप्पणी नहीं: